Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5ff6fb4a9a681b811d10e21283a7c442, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamare Dil Pe Jo ZaKHmon Ka Bab Likkha Hai - Manzar Bhopali Poetry In English - Darsaal

Hamare Dil Pe Jo ZaKHmon Ka Bab Likkha Hai

hamare dil pe jo zaKHmon ka bab likkha hai

isi mein waqt ka sara hisab likkha hai

kuchh aur kaam to hum se na ho saka lekin

tumhaare hijr ka ek ek azab likkha hai

suluk nashtaron jaisa na kijiye hum se

hamesha aap ko hum ne gulab likkha hai

tere wajud ko mahsus umr bhar hoga

tere labon pe jo hum ne jawab likkha hai

hua fasad to is mein nahin kisi ka qusur

hawa-e-shahr ne mausam KHarab likkha hai

agar yaqin nahin to uThaiye tariKH

hamara nam ba-sad-ab-o-tab likkha hai

(613) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Dil Pe Jo ZaKHmon Ka Bab Likkha Hai In English By Famous Poet Manzar Bhopali. Hamare Dil Pe Jo ZaKHmon Ka Bab Likkha Hai is written by Manzar Bhopali. Read famous Poem Hamare Dil Pe Jo ZaKHmon Ka Bab Likkha Hai for youth and Student by Manzar Bhopali. Free Download Hamare Dil Pe Jo ZaKHmon Ka Bab Likkha Hai in PDF.