Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f47e684897d6f4fbc8fd0a744386b939, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Makan Aur Bulandi Pe Banane Na Diya - Manzar Bhopali Poetry In English - Darsaal

Ek Makan Aur Bulandi Pe Banane Na Diya

ek makan aur bulandi pe banane na diya

hum ko parwaz ka mauqa hi hawa ne na diya

tu KHuda ban ke miTaega hamein hi ek din

sar tere dar pe isi Dar ne jhukane na diya

muttahid hone ka jazba tha sabhi mein lekin

muttahid hone ka mauqa hi hawa ne na diya

tum pe chha jate shajar bante jo nanhe paude

tum ne achchha hi kiya panw jamane na diya

wo to aamada tha bandon ki shikayat sun kar

kuchh farishton ne zamin par use aane na diya

aap Darte hain ki khul jae na asli chehra

is liye shahr ko aaina banane na diya

(644) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ek Makan Aur Bulandi Pe Banane Na Diya In English By Famous Poet Manzar Bhopali. Ek Makan Aur Bulandi Pe Banane Na Diya is written by Manzar Bhopali. Read famous Poem Ek Makan Aur Bulandi Pe Banane Na Diya for youth and Student by Manzar Bhopali. Free Download Ek Makan Aur Bulandi Pe Banane Na Diya in PDF.