Ye To Baja Ki Hum Rahen Chashm-e-karam Se Dur Dur
ye to baja ki hum rahen chashm-e-karam se dur dur
KHud bhi na rah sake magar aap jo hum se dur dur
dair-o-haram ki nafraten lauT chukin nashat-e-zist
rahrawan-e-rah-e-nau dair-o-haram se dur dur
ahl-e-jahan se kya hamein sirf malal is ka hai
aap bhi hum se bad-guman aap bhi hum se dur dur
mera mazaq-e-bandagi toD chuka hai riwayaten
aaj jabin hai aap ke naqsh-e-qadam se dur dur
ek udas tirgi qismat-e-baam dur hui
jab se tumhaari yaad hai sham-e-alam se dur dur
mai-kada-e-jahan mein hai ek hujum-e-mai-kashan
jam-e-sifal ke qarib saghar-e-jam se dur dur
dil mein KHayal-e-manzil-e-dar-o-rasan liye hue
aaj koi guzar gaya ku-e-sanam se dur dur
'manzar'-e-sada-dil jinhen dost samajh rahe the tum
aaj wahi wafa-sarisht ho gae hum se dur dur
(419) Peoples Rate This