Shahr Ka Shahr Harif-e-lab-o-ruKHsar Mila
shahr ka shahr harif-e-lab-o-ruKHsar mila
nam mera hi likha kyun sar-e-diwar mila
sochte sochte dhundla gae yaadon ke nuqush
fikr ko mere na ab tak lab-e-izhaar mila
mushtahar kar diya itna teri chahat ne mujhe
nam ghar ghar mein mera surat-e-aKHbar mila
jis ki qurbat ko tarasta tha zamana kal tak
aaj wo shaKHs akela sar-e-bazar mila
meri sachchai ko is waqt saraha tu ne
sar pe jab bandh ke main jhuT ki dastar mila
aankhon aankhon hi mein lahraen bahaaren 'manzar'
ek shajar bhi na bhare bagh mein phaldar mila
(407) Peoples Rate This