Ajab Lahja Hai Us Ka

paniyon par jhilmilati chandni jaisa

mere dil ka samundar jab bhanwar ki zad mein aa jae

sabhi tarik lahren gher kar mujh ko

kisi patal ka rasta dikhati hon

to wo aisi sifat lahja

mujhe phir sahilon par khinch lata hai

mujhe kahta hai dekho

is bhanwar ke par bhi duniya mein kuchh lamhe dhaDakte hain

unhen bhi apni sanson mein parda dekhun

ye lahren jo ki andhiyaron mein dew-asar lagti hain

unhen tum chandni mein dekhna ye kis tarah

kirnon se mil kar majare taKHliq karti hain

ye lahren jab rupahle nur ki naddi mein Dhalti hain

to masti mein machalti aasmanon ko lapakti hain

amawas jab bhi aae chandni ko ya magar lena

mere chaaron taraf melon pe chalti dhup phaili hai

magar us ki ye baaten barishon ki bundiyon jaisi

mere dil ki daraDon mein

hari fasli ugai hain

main sar se panw tak

shabnam se bhigi pattiyon mein Dub jati hun

(449) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Lahja Hai Us Ka In English By Famous Poet Mansoora Ahmad. Ajab Lahja Hai Us Ka is written by Mansoora Ahmad. Read famous Poem Ajab Lahja Hai Us Ka for youth and Student by Mansoora Ahmad. Free Download Ajab Lahja Hai Us Ka in PDF.