GhaT Gai Hai Qadr-o-qimat Aaj Ke Insan Ki
ghaT gai hai qadr-o-qimat aaj ke insan ki
hum pe ghaalib ho gain makkariyan shaitan ki
jis tarah bhi dekhiye dahshat ka ek mahaul hai
ek khilaune ke barabar haisiyat hai jaan ki
ab dukan bazar mein ahl-e-KHirad ki band hai
ab ijara-dari hai danai par nadan ki
main ne ye sachchai jaani hai bahut khone ke baad
dosti achchhi nahin hoti kabhi nadan ki
zindagi ki mushkilon ka hal hai apna hausla
kuchh usi se hoti hai kheti hari arman ki
zor-e-baatil ko zamane mein mayassar hai farogh
aabru KHatre mein hai ab sahib-e-iman ki
zinda rahna aaj kal 'KHushtar' bahut dushwar hai
baala-dasti aaj dekhi jati hai balwan ki
(410) Peoples Rate This