Mazarat
mere KHwab gharaunde mein mere sath hain
murda lamhon ke be rut basi calender
guzri kal ke bhige bhige se pachhtawe
aane wali kal ke be kal se andeshe
sukhe phulon ki Tahni par
patjhaD ke jhonkon se uDti be-ghar titli
pile patton ki murjhai bel se lipTi
sahmi chiDiya
is ki aankhon ke gahre viran samundar
kamre ke kone mein sanwari gungi guDiya
shelf mein rakkhi saji-sajai sard kitaben
rasta DhunDhti bhaTki bhaTki subhen shamen
KHud hi socho
aise pur-awaz hujum mein
aise ghar mein
tum ko la ke kahan biThaun
(485) Peoples Rate This