TuTa Hua Ufuq
miyanwali bhi apni rut badalta hai magar
mere dil ki zaminon par
wahi mausam KHizan ka
wahi be-shakl chehra aasman ka
wahi be-ab dariya dastan ka
wahi be-ruh manzar hain
wahi be-rang taswiren
wahi chashme wahi, ubla hua pani
daraKHton se
musalsal bhap ban kar uTh raha hai
pighalti ja rahi hain meri raaten
sawa neze pe suraj hai
magar shab ki siyahi uD rahi hai meri miTTi mein
mere andar ki faslen
tirgi ki dhup mein murjha gai hain
mujhe koi shikast-e-zat ki illat bata de!
(465) Peoples Rate This