Qaza Nahin Hona Tujhe

lauh ka rasta, dhup ke shamiyanon se Dhanpa hua

ajnabi ajnabi chap sunta raha sath chalta raha

aur phir ek din das moharram ki aankhon se nikla hua

ek sunahri kanwal

yun uchhaala ufaq ki shafaq jhil mein

sham ke waqt ne

jaise iblis sikka koi

phenk de rahm-e-tariKH ke surKH kashkol mein

aasman ruk gaya ruk gaya aasman

so gaya ijtimai lahad mein kahin zindagi ka damishq

main ne socha ki aise mein bahta nahin

ashk-e-ab-e-furaat

rasta rok pahle paDaw ke KHeme laga

aur phir sham ki baz-gashton mein bahti azan

mujh se kahne lagi

waqt ko zae karna gunah-e-kabira se bhi baDh ke hai

qibla-ru ho ke labbaik main ne kaha

koi shah-e-rag ke andar se kahne laga

ki namazen qaza lauT sakti hain lekin qaza saaten

lauT sakti nahin!

(373) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qaza Nahin Hona Tujhe In English By Famous Poet Mansoor Aafaque. Qaza Nahin Hona Tujhe is written by Mansoor Aafaque. Read famous Poem Qaza Nahin Hona Tujhe for youth and Student by Mansoor Aafaque. Free Download Qaza Nahin Hona Tujhe in PDF.