Charagh Ho Gaya Bad-nam Kuchh Ziyaada Hi

charagh ho gaya bad-nam kuchh ziyaada hi

ki jal raha tha sar-e-baam kuchh ziyaada hi

tere bhulane mein mera qusur itna hai

ki paD gae the mujhe kaam kuchh ziyaada hi

main kitne hath se guzra yahan tak aate hue

mujhe kiya gaya nilam kuchh ziyaada hi

malal teri judai ka be-panah lekin

fasurda hai ye meri sham kuchh ziyaada hi

tamam umr ki aawargi baja lekin

laga hai ishq ka ilzam kuchh ziyaada hi

bas ek raat se kaise thakan utarti hai

badan ko chahiye aaram kuchh ziyaada hi

sambhaal apni bahakti hui zaban 'mansur'

tu le raha hai koi nam kuchh ziyaada hi

(423) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh Ho Gaya Bad-nam Kuchh Ziyaada Hi In English By Famous Poet Mansoor Aafaque. Charagh Ho Gaya Bad-nam Kuchh Ziyaada Hi is written by Mansoor Aafaque. Read famous Poem Charagh Ho Gaya Bad-nam Kuchh Ziyaada Hi for youth and Student by Mansoor Aafaque. Free Download Charagh Ho Gaya Bad-nam Kuchh Ziyaada Hi in PDF.