Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_73a774ea8dd1e73060898679723a1a9e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zaiqe Paida Tabiat Mein Lachak Karte Hain - Mannan Bijnori Poetry In English - Darsaal

Zaiqe Paida Tabiat Mein Lachak Karte Hain

zaiqe paida tabiat mein lachak karte hain

aa tujhe waqif-e-qand aur namak karte hain

aao chalte hain jahan sazish-e-ahbab na ho

dushmani ka ye safar dosti tak karte hain

wo jo insan ke hi bas mein hai us par insan

jaane kis munh se shikayat-e-falak karte hain

khulne hi wala hai bas andhi aqidat ka bharam

hum se kuchh log bahut chhan-phaTak karte hain

shirk to KHwab mein bhi hum se nahin ho sakta

hum to ya-rab teri qudrat pe bhi shak karte hain

(466) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaiqe Paida Tabiat Mein Lachak Karte Hain In English By Famous Poet Mannan Bijnori. Zaiqe Paida Tabiat Mein Lachak Karte Hain is written by Mannan Bijnori. Read famous Poem Zaiqe Paida Tabiat Mein Lachak Karte Hain for youth and Student by Mannan Bijnori. Free Download Zaiqe Paida Tabiat Mein Lachak Karte Hain in PDF.