Bahane DhunDta Hun Main
bahane DhunDhta hun main
ki daftar se zara jaldi hi uTh jaun
(mujhe kya doston se ja ke milna hai?)
nahin
ek dusre se hum sabhi tang aae baiThe hain
(mujhe kya ghar pahunchna hai?)
nahin hargiz nahin
ulTa
bahane DhunDhta hun main
ki jitna ho sake utna hi main ghar der se pahunchun
(mujhe hasil nahin kya biwi bachchon ki mohabbat?)
hai, magar phir bhi na jaane kyun
bahane DhunDhta hun main
unhen kuchh arsa ko main bhej dun bahar
kahan lekin
nahin malum kuchh mujh ko
to phir kya meri shamon mein
talluq ki hansi aur chap shamil hai
nahin to
phir mujhe kya khae jata hai
ki main bandh kar kahin bhi rah nahin sakta
bahane DhunDhta hun
toDne ko kaun sa bandhan
(460) Peoples Rate This