Anjam
wahi chehre nazar ke samne hain
jinhen pahchanna
mushkil nahin hai
ye mere samne barson rahe hain
magar!
ab kis liye
ye mere sar mein
musalsal dard sa rahne laga hai
(unhen har ek pal tak tak ke shayad)
(miri aankhen hi shayad bujh rahi hain)
main in aankhon se
ab kitna dukhi hun
wahi chehre
main jin se aashna hun
mujhe aankhon pe kitna zor de kar
unhen pahchanna paDta hai
aaKHir!
ye barqi rau si kaise chhoDte hain
thakan ki aur uktahaT ki
aaKHir!
wo baaten KHatm kaise ho gai hain
wo aawazen!
kahan hain aaj?
aaKHir!
wo in aankhon mein kaise kho gai hain
ki andhe bhi
to ek duje ko
aaKHir!
baghair aankhon hi ke pahchante hain
to kya?
aawaz aankhon se baDi hai?
(ye hum pe kaisi bipta aa paDi hai?)
hamari nasl!
kitni zinda-dil thi
hamari nasl ka anjam
aaKHir!
hua hai kis liye itna bhayanak
ki tak tak kar kisi ko ub jaana
nazar ke sath KHud bhi Dub jaana
(447) Peoples Rate This