Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai
zamana hai ki mujhe roz sham Dasta hai
magar ye dil hai ki pahle se aur hansta hai
tu ye bata unhen kis ne bana diya aisa
ki tere samne har koi dast-basta hai
main us ko chhoD ke ab jaun to kahan jaun
yahi to ek meri zindagi ka rasta hai
ajib baat hai lagta hai yun har ek chehra
ki bolne ke liye jis tarah tarasta hai
jo sukh ka sans mile umr bhar ke badle bhi
tu meri man ki sauda ye phir bhi sasta hai
sab ek dusre ko ab to yun bhi jaante hain
ki ek ek ka andar se haal KHasta hai
shikayat aur to kuchh bhi nahin in aankhon se
zara si baat pe pani bahut barasta hai
karahta bhi hai har aan jo bhi zinda hai
aur apne gird shikanja bhi KHud hi kasta hai
hamara kal koi patal mein rakh aaya hai
samundaron mein se kahte hain koi rasta hai
kisi tarah bhi to samjha sake na hum us ko
zamane se ye kaho KHud pe 'talKH' hansta hai
(414) Peoples Rate This