Yunhi Nahin Hum Bolte Jate Ye Apni Majburi Hai
yunhi nahin hum bolte jate ye apni majburi hai
junhi kuchh kah chukte hain lagta hai baat adhuri hai
sab apni afwah bane hain asl mein kya the bhul gae
jine ki jo surat hai so ye bhi aaj zaruri hai
duniya meri zindagi ke din kam karti jati hai kyun
KHun pasina ek kiya hai ye meri mazduri hai
apne baad hi duniya mein Thahrao jo aae to aae
jab tak hum zinda hain tab tak har ek daur uburi hai
DhunD rahe hain kis ko log shikari jaisi nazron se
saf-dar-saf maujud hun main to har ek saf to puri hai
sab ek dusre ko nazron se bas ye dilasa dete hain
hain to hum sab pas hi bas andar ki ye ek duri hai
itni sari aawazon mein shayad sunne wale ko
bas itna hi yaad rahega meri baat zaruri hai
koi bahana mil jae to hath nahin hum aane ke
der ye hai chal dene mein tayyari to puri hai
'talKH' hamare hosh ke aalam ka hai rang-e-suKHan kuchh aur
jis par wajd mein hai ek duniya wo to ghair-shuuri hai
(443) Peoples Rate This