Ye Shahr Shahr Sar-e-am Ab Munadi Hai
ye shahr shahr sar-e-am ab munadi hai
na wo rahega mulaqat ka jo aadi hai
zamin di hai khuli dhup di hawa di hai
ba-nam-e-zindagi kaisi kaDi saza di hai
main apne aap se kya puchhta hun rah rah kar
ye kyun lage ki kisi ne mujhe sada di hai
tera hi rup koi tha yahan jab aaya tha
ye dekh waqt ne ab shakl kya bana di hai
dua salam to thi rasm-e-rab se thi murad
so mere shahr ne ye rasm hi uTha di hai
faqat sada hi suno kyun nazar na aaegi
ki ab to bich ki diwar bhi gira di hai
tamam umr na us ko kisi ne pahchana
jo us ke munh pe thi chadar wo kyun haTa di hai
ye ab gharon mein na pani na dhup hai na jagah
zamin ne 'talKH' ye shahron ko bad-dua di hai
(410) Peoples Rate This