Sadaon Ka Na KHala Dekh Kar Dara Mujhko
sadaon ka na KHala dekh kar Dara mujh ko
hai koi aur bhi sunne to de zara mujh ko
qarib apne jo aaya to laDkhaDa sa gaya
tu meri fikr na kar kuchh nahin hua mujh ko
main barf bechne nikla bhi to himale mein
aur us ke baad zamane se hai gila mujh ko
ye kaise dard hain jo rah gae hain baTne se
ye kaisi gunj hai kuchh bhi nahin mila mujh ko
main dekh kar tujhe ek samt ho sa jata hun
ye milte milte pare kaise kar diya mujh ko
na tu bulae mujhe aur na main bulaun tujhe
ye kya hua hai tujhe aur kya hua mujh ko
KHala mein raste girte hon aabshaar ki misl
wo dhup ho nazar aae na rasta mujh ko
ye mauj mauj si aawaz kashtiyon ki si chup
qadam bana hun andheron ka ab baDha mujh ko
main chup ki khai ka hota ek aur patthar aaj
meri sada hi ne kas kar jakaD liya mujh ko
main KHud ko Dhaal ke teri sada mein chahta hun
ki tu bhi ab kabhi meri tarah bula mujh ko
main kya wo KHauf hun jo sab ke dil mein baiTha hai
nahin to but se bane dekhte ho kya mujh ko
main ek sham tere sath rah ke luT sa gaya
ki zindagi mein ye lahja nahin mila mujh ko
phir aaj ghar mujhe le aai jun ka tun ek baat
ki jaise koi khaDa dekhta raha mujh ko
udhar kinare pe bhi 'talKH' mein hi tha kal sham
bas apne KHauf ne milne nahin diya mujh ko
(418) Peoples Rate This