Sabit Ye Main Karunga Ki Hun Ya Nahin Hun Main
sabit ye main karunga ki hun ya nahin hun main
wahm o yaqin ka koi do-raha nahin hun main
susta raha hun rahguzar se zara pare
kya mujh ko tak rahe ho tamasha nahin hun main
pahla qadam kahin mere inkar ka na ho
hona tha jis jagah mujhe us ja nahin hun main
baisakhiyon pe chalte bano munh na tum lago
kahta hun phir ki aadmi achchha nahin hun main
hun apne daen baen bhi main hi ye soch lo
tum ho to meri tak mein tanha nahin hun main
samjhe na koi sarsari sa tazkira mujhe
bhar-pur majra hun hawala nahin hun main
hairat-kada hun wo ki jise la-makan kahen
tum kya samajh rahe ho mujhe kya nahin hun main
ye mujh ko sochna hai ki agla qadam ho kya
yun bhi kisi ki baat mein aaya nahin hun main
kahta hai 'talKH' ghar se nikalna karunga band
koi bacha hai jis se ki uljha nahin hun main
(725) Peoples Rate This