Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a90313dbd776114069485b515779df97, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main KHud Ko Har Ek Samt Se Gher Kar - Manmohan Talkh Poetry In English - Darsaal

Main KHud Ko Har Ek Samt Se Gher Kar

main KHud ko har ek samt se gher kar

khaDa hun pare KHud se munh pher kar

na KHud se bhi milne ki jaldi macha

meri man thoDi bahut der kar

main apna hi madd-e-muqabil hun ab

kahun KHud se le ab mujhe zer kar

kahoge magar kya ki KHud ko to main

kahin se bhi le aaunga gher kar

yunhi kho diya tujh ko bhi KHud ko bhi

kabhi jaldi kar to kabhi der kar

nahin sans lene ka bhi 'talKH' dam

na sanson ka to jama ye Dher kar

(376) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main KHud Ko Har Ek Samt Se Gher Kar In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Main KHud Ko Har Ek Samt Se Gher Kar is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Main KHud Ko Har Ek Samt Se Gher Kar for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Main KHud Ko Har Ek Samt Se Gher Kar in PDF.