Kholega Raaz Kaun Teri Kaenat Ke
kholega raaz kaun teri kaenat ke
lale paDe hue hain yahan apni zat ke
yun rui se KHayal ko rakhta hun kat ke
uDte phiren roen na kahin meri baat ke
sab muntazir hain aisi kisi apni mat ke
khul jaen sab bharam kisi rah-e-najat ke
sunta hun mujh se mangti hai maut bhi panah
wo parKHachche uDae hain main ne hayat ke
KHud ko sameTne ke bakheDe mein kyun paDe
kahe ko ho ke rah na gae hadsat ke
in aandhiyon pe zor chaman ka to kuchh na tha
qisse bikhar gae hain magar pat pat ke
kam ye bhi to KHalaon mein taKHliq se nahin
jaise mahl kiye hain khaDe mushkilat ke
is se ziyaada ret ke tufan tujh mein hain
jharne teri nigah mein jitne hain zat ke
nauha-kunan azal se andheron mein hain sadaen
ye dukh to hain sadaon ki bas ek raat ke
Takrao be-sabab jo nazar aur dil ka tha
afsane sab ne ghaD liye ek raat ke
sach sach bata ki 'talKH' ye dil ki nawa mein yun
kaise kiye hain jama ye dukh kaenat ke
(398) Peoples Rate This