Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4cf3fad4301f93aaf318020eb55813e3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Aur Sanehe Hum Par Nahin Guzarne Ke - Manmohan Talkh Poetry In English - Darsaal

Ab Aur Sanehe Hum Par Nahin Guzarne Ke

ab aur sanehe hum par nahin guzarne ke

guzar gae hain jo lamhe the KHud se Darne ke

na bhagne ke rahe hum na ab Thaharne ke

wo lamhe aae jo aa kar nahin guzarne ke

baDe baDon ne yahan aa ke dam nahin mara

wo aae marhale apni sada se Darne ke

ye ek arse ke chup ki KHarash aur sahi

sada ke zaKHm to chup se nahin the bharne ke

nae sire se talluq banenge bigDenge

ki ab irade hain ek ek baat karne ke

(360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Aur Sanehe Hum Par Nahin Guzarne Ke In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Ab Aur Sanehe Hum Par Nahin Guzarne Ke is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Ab Aur Sanehe Hum Par Nahin Guzarne Ke for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Ab Aur Sanehe Hum Par Nahin Guzarne Ke in PDF.