Zamin Ke Hath Yun Apna Shikanja Kas Rahe The
zamin ke hath yun apna shikanja kas rahe the
sutun sare mahal ke rafta rafta dhans rahe the
umiden lamha lamha ghaT ke marti ja rahi thin
ajab aaseb se aa kar dilon mein bas rahe the
shajar pe zahr ne ab rang dikhlaya hai apna
ruton ke sanp yun to muddaton se Das rahe the
mera suraj meri aankhon ke aage bujh raha tha
mere sae meri be-chaargi pe hans rahe the
paDe hain waqt ki choTon se ab mismar ho kar
wahi patthar jo apne daur mein paras rahe the
ujaDa kis tarah aandhi ne bedardi se dekho
nagar KHwabon ke kitni hasraton se bas rahe the
uDanon ne kiya tha is qadar mayus un ko
thake-haare parinde jal mein KHud phans rahe the
(528) Peoples Rate This