Safar Ke Tasawwur Se Sahma Hua Hun
safar ke tasawwur se sahma hua hun
baDi der se yun hi Thahra hua hun
udhar Dubte ja rahe hain sitare
idhar main KHayalon mein uljha hua hun
jalane ke qabil na likhne ke laeq
main kaghaz hun sada pa bhiga hua hun
sambhaale hun KHud ko baDi kawishon se
mujhe chhu na lena main chaTKHa hua hun
musalsal paDi hai kaDi dhup mujh par
mera rang dekho main kaisa hua hun
na baqi hai saya na barg-o-samar hain
main mausam ki sazish ka mara hua hun
thamengi kabhi to muKHalif hawaen
yahi soch kar KHud mein simTa hua hun
(384) Peoples Rate This