Rafta Rafta Rang Bikharte Jate Hain
rafta rafta rang bikharte jate hain
taswiron ke dagh ubharte jate hain
waqt ki sazish gahri hoti jati hai
diwaron ke rang utarte jate hain
ban kar phir aaseb bhaTakne lagte hain
dil ke wo ehsas jo marte jate hain
yaadon mein ek Tis bani hi rahti hai
dhire dhire zaKHm to bharte jate hain
aaKHir tak insan akela rahta hai
yun hi mah-o-sal guzarte jate hain
aab-o-dana aur nasheman ke sapne
panchhi ki parwaz katarte jate hain
zaKHmon mein har roz izafa hota hai
ghazlon ke mafhum sanwarte jate hain
(409) Peoples Rate This