Nae Manzar Sarabon Ke Meri Aankhon Mein Bhar Dena
nae manzar sarabon ke meri aankhon mein bhar dena
agar manzil nazar aae mujhe gumrah kar dena
mujhe ye kashmakash ye shor-o-ghul sairab karte hain
meri kashti ko dariya aur dariya ko bhanwar dena
meri aawargi hi mere hone ki alamat hai
mujhe phir is safar ke baad bhi koi safar dena
meri parwaz ki hasrat yaqinan zor maregi
agar uDne lagun to mere baal-o-par katar dena
suna hai dasht mein aage bahut tarik hai rasta
mere raKHt-e-safar mein chand ya KHurshid dhar dena
bujha dena zara pahle diya meri samaat ka
kabhi meri rihai ki mujhe jab tum KHabar dena
juda karna mere is KHwab se tum dafatan mujh ko
judai ki mujhe ghaDiyan KHudaya muKHtasar dena
(399) Peoples Rate This