Lamha Lamha Dard Tapakta Rahta Hai
lamha lamha dard Tapakta rahta hai
jaane andar kaun sisakta rahta hai
ek aahaT si hoti rahti hai dil mein
is sahra mein kaun bhaTakta rahta hai
hijr-zada ek aashiq mahw-e-gham akasr
mazi ke auraq palaTta rahta hai
phul si koi yaad hai us se wabasta
mere dil ka zaKHm mahakta rahta hai
dil jaise mele mein khoya ek bachcha
har aahaT ki or lapakta rahta hai
sar par itni dhup safar hai sahra mein
mera sara jism jhulasta rahta hai
dil mein itni aag nahin jo jal uTThe
bas yunhi chup-chap sulagta rahta hai
(402) Peoples Rate This