Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0985b82547b4bb45477c22d25fdecc30, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHwab Ka Chehra Pila PaDte Dekha Hai - Manish Shukla Poetry In English - Darsaal

KHwab Ka Chehra Pila PaDte Dekha Hai

KHwab ka chehra pila paDte dekha hai

ek tabir ko suli chaDhte dekha hai

ek taswir jo aaine mein dekhi thi

us ka ek ek naqsh bigaDte dekha hai

subh se le kar sham talak un aankhon ne

apne hi sae ko baDhte dekha hai

us se haal chhupana to hai na-mumkin

hum ne us ko aankhen paDhte dekha hai

ashk-e-rawan rakhna hi achchha hai warna

talabon ka pani saDte dekha hai

ek ummid ko hum ne akasr KHalwat mein

ek adhuri murat gaDhte dekha hai

dil mein koi hai jis ko akasr hum ne

har ilzam hamin par maDhte dekha hai

(381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Ka Chehra Pila PaDte Dekha Hai In English By Famous Poet Manish Shukla. KHwab Ka Chehra Pila PaDte Dekha Hai is written by Manish Shukla. Read famous Poem KHwab Ka Chehra Pila PaDte Dekha Hai for youth and Student by Manish Shukla. Free Download KHwab Ka Chehra Pila PaDte Dekha Hai in PDF.