Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_559e8e1b505f3948542dd5225c70886e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Lamha Nam-dida Rahne Ki Aadat - Manish Shukla Poetry In English - Darsaal

Har Lamha Nam-dida Rahne Ki Aadat

har lamha nam-dida rahne ki aadat

le Dubi ranjida rahne ki aadat

ab apna chehra begana lagta hai

hum ko thi sanjida rahne ki aadat

aaKHir hum ko be-zari tak le aai

har shai par girwida rahne ki aadat

rafta rafta uryani tak aa pahunche

jin ko thi poshida rahne ki aadat

dikh jate hain yun hi kuchh rangin manzar

achchhi hai KHwabida rahne ki aadat

hum hami hain sidhi-sadi baaton ke

aur us ko pechida rahne ki aadat

aaKHir-kar waraq ke chithDe kar degi

har mausam bosida rahne ki aadat

(396) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Lamha Nam-dida Rahne Ki Aadat In English By Famous Poet Manish Shukla. Har Lamha Nam-dida Rahne Ki Aadat is written by Manish Shukla. Read famous Poem Har Lamha Nam-dida Rahne Ki Aadat for youth and Student by Manish Shukla. Free Download Har Lamha Nam-dida Rahne Ki Aadat in PDF.