Faqirana Tabiat Thi Bahut Bebak Lahja Tha
faqirana tabiat thi bahut bebak lahja tha
kabhi mujh mein bhi hansta-khelta ek shaKHs rahta tha
bagule hi bagule hain meri viran aankhon mein
kabhi in rahguzaron mein koi dariya bhi bahta tha
tujhe jab dekhta hun to KHud apni yaad aati hai
mera andaz hansne ka kabhi tere hi jaisa tha
kabhi parwaz par meri hazaron dil dhaDakte the
dua karta tha koi to koi KHush-bash kahta tha
kabhi aise hi chhai thin gulabi badliyan mujh par
kabhi phulon ki sohbat se mera daman bhi mahka tha
main tha jab karwan ke sath to gulzar thi duniya
magar tanha hua to har taraf sahra hi sahra tha
bas itna yaad hai soya tha ek ummid si le kar
lahu se bhar gain aankhen na jaane KHwab kaisa tha
(430) Peoples Rate This