Ek Andhi DauD Thi Ukta Gaya Tha
ek andhi dauD thi ukta gaya tha
main KHud hi saf se bahar aa gaya tha
na dil bazar mein us ka laga phir
jise ghar ka pata yaad aa gaya tha
faqat ab ret ki chadar bichhi hai
suna hai us taraf dariya gaya tha
usi ne rah dikhlai jahan ko
jo apni rah par tanha gaya tha
mujhe jalna paDa majbur ho kar
andhera is qadar gahra gaya tha
koi taswir ashkon se bana kar
fasil-e-shahr par chipka gaya tha
samajh aaKHir mein aaya wahima tha
jo kuchh ab tak suna samjha gaya tha
(420) Peoples Rate This