BhaTakta Karwan Hai Aur Main Hun
bhaTakta karwan hai aur main hun
talash-e-raegan hai aur main hun
bataun kya tumhein hasil safar ka
adhuri dastan hai aur main hun
naya kuchh bhi nahin qisse mein mere
wahi bojhal saman hai aur main hun
har ek jaanib tilismati manazir
nazar ka imtihan hai aur main hun
koi shahid nahin sajdon ka mere
jabin par ek nishan hai aur main hun
shikasta baal-o-par takte hain mujh ko
fasil-e-asman hai aur main hun
dua mangun kahan kis dar pe ja ke
dayar-e-be-aman hai aur main hun
bahut dhundli nazar aati hai duniya
umidon ka dhuan hai aur main hun
bhaTakta hun zamin par sar-barahna
falak ka saeban hai aur main hun
(410) Peoples Rate This