Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f44127903f58d6cae4e487d1305b0516, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
AaKHiri Koshish Bhi Kar Ke Dekhte - Manish Shukla Poetry In English - Darsaal

AaKHiri Koshish Bhi Kar Ke Dekhte

aaKHiri koshish bhi kar ke dekhte

phir usi dar se guzar ke dekhte

guftugu ka koi to milta sira

phir use naraaz kar ke dekhte

kash juD jata wo TuTa aaina

hum bhi kuchh din ban sanwar ke dekhte

rah-guzar hi ko Thikana kar liya

kab talak hum KHwab ghar ke dekhte

kash mil jata kahin sahil koi

hum bhi kashti se utar ke dekhte

ho gaya tari sanwarne ka nasha

warna KHwahish thi bikhar ke dekhte

dard hi gar hasil-e-hasti hai to

dard ki had se guzar ke dekhte

(488) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHiri Koshish Bhi Kar Ke Dekhte In English By Famous Poet Manish Shukla. AaKHiri Koshish Bhi Kar Ke Dekhte is written by Manish Shukla. Read famous Poem AaKHiri Koshish Bhi Kar Ke Dekhte for youth and Student by Manish Shukla. Free Download AaKHiri Koshish Bhi Kar Ke Dekhte in PDF.