Zist Ke Aasar RuKHsat Hain Mohabbat Dil Mein Hai
zist ke aasar ruKHsat hain mohabbat dil mein hai
karwan jata hai mir-e-karwan manzil mein hai
aao dam sine mein baqi hai na hasrat dil mein hai
ab to jo kuchh hai wo chashm-e-muntazar ke til mein hai
han azal se jo muqaddar hai wahi hoga magar
jazba-e-taid-e-qudrat sai-e-la-hasil mein hai
jaan-sitan hai husn kya husn-e-talab ki ehtiyaj
wo to zinat ke liye KHanjar kaf-e-qatil mein hai
jis ki manzil hai baqa wo jada-paima-e-fana
dil idhar naqis mein shamil hai udhar kaamil mein hai
tab-e-KHalwat kaun la sakta hai dil to miT chuka
kis qadar qatil tera jalwa bhari mahfil mein hai
tu jise chahe haqiqat kah jise chahe majaz
ek surat jo nazar mein hai wahi to dil mein hai
iltija naz-afrini ke liye hai warna sun
aarzu KHud us ki shahid hai ki jalwa dil mein hai
ye mata-e-zist bhi hoti hai 'mani' nazr-e-maut
ek nazar aankhon mein hai aur ek hasrat dil mein hai
(434) Peoples Rate This