Ye Kaun Mane Ki Na-ashna-e-raaz Hai Tu
ye kaun mane ki na-ashna-e-raaz hai tu
magar yahi ki KHudawand-e-be-niyaz hai to
us aastan pe jo sar hai to sarfaraaz hai tu
niyaz-mandi-e-alam se be-niyaz hai tu
samajh mein aae na aae ada-e-chaaragari
mujhe to hai ye bharosa ki chaarasaz hai tu
fana nahin hai ajal umr-e-jawedani hai
wajud hai wo haqiqat ki jis ka raaz hai tu
qubul kar meri dad ai meri siyah-baKHti
harif-e-zulmat-e-tanhai-e-daraaz hai to
nawazishen teri mubham sahi magar ai dost
ye e'tibar hai kya kam ki dil-nawaz hai tu
baDe marahil-e-dushwar se guzarna hai
niyaz jada hai aur manzil-e-niyaz hai tu
ye manta hai zamana ki main hun nazish-e-sabr
ye raaz koi na samjha ki mera naz hai tu
hai sar KHushi mein tujhe pas-e-gham-kashan 'mani'
ajib rind-e-KHuda-tars-o-pak-baz hai tu
(435) Peoples Rate This