Maut Han Bar-haq Hai Lekin Zindagi Fani Kahan
maut han bar-haq hai lekin zindagi fani kahan
qissa-e-hasti ba-anjam-e-tan-asani kahan
aap ke sajde mein ruh-e-sajda ai 'mani' kahan
kash ye ehsas hota KHam hai peshani kahan
mushkilon se ruh ko manus hona chahiye
zindagi dushwariyon hi mein hai aasani kahan
ai zuleKHa bartar-az-insaniyat ka zikr chhoD
dard se begana rahna kar-e-insani kahan
tishna-e-maqsud dhokha hai jhalak ummid ki
sirf ek manzar sarab-asa hai ye pani kahan
kaT di bistar pe angaron ke sari zindagi
ai tamanna is se baDh kar koi qurbani kahan
manzil-e-hairat mein laya imtihan-e-tab-e-did
dekhiye le jaegi ab dil ki hairani kahan
kasrat-o-wahdat mein nisbat hai shua-o-shams ki
ek hi jalwa hai jalwon ki farawani kahan
miT ke mere ghar ki raunaq aalam-e-ibrat bani
dasht bhi viran hai lekin naf-e-virani kahan
aish-e-azadi kabhi milta to hota ranj-e-qaid
mustaqil jamiyat-e-dil hai pareshani kahan
ye faza-e-fikr ai 'mani' hai mearaj-e-suKHan
ab magar taKHil mein wo barq-samani kahan
(763) Peoples Rate This