KHu-e-gham Dil Ko Hai Yani His-e-gham Kuchh Bhi Nahin
KHu-e-gham dil ko hai yani his-e-gham kuchh bhi nahin
kya hai ab kar-gah-e-naz-o-sitam kuchh bhi nahin
roz-e-fariyaad se maghlub nahin taqat-e-shukr
jabr-e-taqdir-e-giran bari-e-gham kuchh bhi nahin
zindagi muzda-e-gham maut nawed-e-gham-e-nau
koi rudad ba-har-shan-e-karam kuchh bhi nahin
ek taraf hashr mein tu ek taraf bahr-e-karam
daman-e-tar to ab ai dida-e-nam kuchh bhi nahin
darKHur-e-be-KHudi-e-dil na alam hai na surur
zahr-e-gham kuchh bhi nahin saghar-e-jam kuchh bhi nahin
farq-e-zarf-e-dil-o-paimana-e-taqdir na puchh
us ne bharpur diya aur use gham kuchh bhi nahin
kya KHabar kya hai ye hangama-e-hasti 'mani'
hum ko itna to hai malum ki hum kuchh bhi nahin
(390) Peoples Rate This