KHair Se Zist Ka Ai Kash Ho Anjam Abhi
KHair se zist ka ai kash ho anjam abhi
waqt achchha hai zaban par hai tera nam abhi
han labaalab to hai labrez nahin jam abhi
zabt mein hai asar-e-gardish-e-ayyam abhi
wo nahin hain to nigahon mein hai duniya andher
kaise raushan the munawwar the dar-o-baam abhi
yahi samjhenge mohabbat ko hayat-e-jawed
jo samajhte hain use maut ka paigham abhi
be-niyazi-e-tamanna ki hai ek jannat-e-ishq
dil ne paya nahin fitrat se ye inam abhi
ta-ba-mearaj-e-yaqin dekhiye kab tak pahunchun
dil ki gahraiyon mein hain bahut auham abhi
aazim-e-bargah-e-dost tha 'mani' lekin
kya pahunchta ki hai sar bar-dar-e-asnam abhi
(363) Peoples Rate This