Aas
post-man ki cycle ki ghanTi
mere dil ki dhaDkanen baDha deti hai
KHat hath mein aate hi
un ki yaaden bhi sath chalti aati hai
ek madhosh karne wali lifafe ki KHushbu
zehn par chha jati hai
siyahi ki likhawaT
us ki ungliyon ki chhuwan yaad dilati hai
kaghaz ka khurdura ehsas
dil ko gudgudata hai
patr par likha mazmun
ThanD ki garm chae sa garmata hai
aise jaane kitne KHat Dakiya lata raha
aur har diwali par inhin KHaton ka inam pata raha
(1588) Peoples Rate This