Riwayati Mohabbat
jhuki jhuki nazron se pustakon
ko sine se lagae
dhak dhak karte dil ko sambhaale
kahin aankhen chaar na ho jaen
lab mein chor-nazar se ghuste
ki aaj to darshan ho jaen
par mad-hoshi ka aalam to dekhen ki
nazren milin to shayad behosh ho jaen
email par khule aam KHat ki baat nahin ye
wo kachre mein phenka kaghaz bhi kai tahon
mein laga kar sine mein chhupaen
koi jaan na le hamari is KHamosh mohabbat ko
soch is KHayal se hi lal ho jae
chhup-chhup kar rashi-phal paDhte
ki shayad aaj mulaqat ho jae
honTon ko siye chup-chap ghumte
ki bhul se tera nam bhi labon par na aa jae
aisi thin wo mohabbaten jahan bana dekhe
kai sadiyan guzar jaen
(2560) Peoples Rate This