Jawan Hota BuDhapa
main umr ki ginti to ulTi nahin kar sakta
par main badalna chahta hun
tumhaari paramparik soch
taki KHud ko mahsus kar sakun
jawan aur hausla-mand
naqli dant laga kar TuTe sapne nahin dekhunga
unhin haalat mein KHwabon ki nai niw rakhunga
baalon ko rangne ki bajae nae indr-dhanush rachunga
chashme ke baDhte numberon ko bhul aur nae aks talashunga
qadam laDkhaDane ke pahle hi
apni laThi ko mazbut karunga
shor par dhyan dene ki jagah
jo bhi jiwan-bhar na sun paya wo git sununga
meri jhuki kamar par taras khae koi
us se pahle kisi dost ka hath tham lunga
mere buDhape par taras mat khao jawanon
main is umr mein bhi tum sa naujawan lagunga
han main wo diya ka ka naTak dohraunga
jo pahle kabhi khela gaya tha
gar is umangon ne sath diya to buDhape mein jawani ka
ek naya itihas rachunga
(3148) Peoples Rate This