Rista Dard
ek taraf barson purana KHun ka qarz hai
wahin dusri aur ek mazlum aurat
ka rasta dard hai
wo aurat
meri man ho sakti hai ya paDosan
ya koi dur watan ki ajnabi
par KHun ke rishte se baDa
ye dard hai mere liye
kyun ki
har pal kuchh rista hai us rishte ke liye
sari zindagi carpet bani rahi ye aurat
aaj bhi zimmadariyon ke bojh se
ziyaada kuchh nahin tumhaare liye
par bhul rahe ho tum bhi
isi carpet par dhar diye jaoge
kisi din upekchhit poTli ki tarah
tab ke liye rista rahega ye dard
(1988) Peoples Rate This