Tere Bimar Ki Shayad Wida-e-jaan Hai Tan Se

tere bimar ki shayad wida-e-jaan hai tan se

janaze ki wagarna wan hai tayyari ka kya bais

kahin waqt-e-KHitab ai yar apne munh se nikla tha

laga kahne ki mujh mein aap mein yari ka kya bais

mariz apne ko dekha aah KHun aaluda kya kya the

na tha gar dard dil mein nala-o-zari ka kya bais

nahin kuchh zor se leta koi dil do na do 'mamnun'

ye majburi ka kya maujib ye na-chaari ka kya bais

mere sine mein gar aatish-kada pinhan nahin zalim

fughan o aah se har dam sharar-bari ka kya bais

tasawwur chashm-e-KHuban ka muqarrar tum ko rahta hai

wagarna hazrat-e-dil itni bimari ka kya bais

hua jab kaam apna kaam dil jab puchhne aae

mujhe gham kha chuka ab meri gham-KHwari ka kya bais

ajab diwangi hai koi bhi yun dil phansata hai

bahut dana the tum 'mamnun' giraftari ka kya bais

(443) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Bimar Ki Shayad Wida-e-jaan Hai Tan Se In English By Famous Poet Mamnoon Nizamuddin. Tere Bimar Ki Shayad Wida-e-jaan Hai Tan Se is written by Mamnoon Nizamuddin. Read famous Poem Tere Bimar Ki Shayad Wida-e-jaan Hai Tan Se for youth and Student by Mamnoon Nizamuddin. Free Download Tere Bimar Ki Shayad Wida-e-jaan Hai Tan Se in PDF.