Rahe Hai Ru-kash-e-nishtar Har Aabla Dil Ka

rahe hai ru-kash-e-nishtar har aabla dil ka

ye hausla hai koi balbe-hausla dil ka

abas nahin hai ye wabasta-e-pareshani

kisi ki zulf ko pahunche hai silsila dil ka

hujum-e-ghamza-o-KHail-e-karishma lashkar-e-naz

ajab sipah se Thahra muqabla dil ka

kahun main kya ki hua kaise be-jagah mail

hai apne baKHt ka shikwa nahin gila dil ka

shab-e-firaq ne chhoDa na sabr-o-tab-e-shakeb

lagi ye aag ki asbab sab jala dil ka

(419) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahe Hai Ru-kash-e-nishtar Har Aabla Dil Ka In English By Famous Poet Mamnoon Nizamuddin. Rahe Hai Ru-kash-e-nishtar Har Aabla Dil Ka is written by Mamnoon Nizamuddin. Read famous Poem Rahe Hai Ru-kash-e-nishtar Har Aabla Dil Ka for youth and Student by Mamnoon Nizamuddin. Free Download Rahe Hai Ru-kash-e-nishtar Har Aabla Dil Ka in PDF.