Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fa462ebf3f193e429c9d8f892a32d5d2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kab Gul Hai Hawa-KHwah Saba Apne Chaman Ka - Mamnoon Nizamuddin Poetry In English - Darsaal

Kab Gul Hai Hawa-KHwah Saba Apne Chaman Ka

kab gul hai hawa-KHwah saba apne chaman ka

wa jumbish-e-dam se hai rafu zaKHm-e-kuhan ka

betabi-e-dil tere shahidon ki kahan jae

kuchh kam rag-e-bismil se nahin tar kafan ka

deta hai phir aaine ko kis waste bosa

wo aap jo dil-dada nahin apne dahan ka

manind-e-habab aap kiya ishq ne 'mamnun'

paya na nishan jama mein apne kahin tan ka

(443) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Gul Hai Hawa-KHwah Saba Apne Chaman Ka In English By Famous Poet Mamnoon Nizamuddin. Kab Gul Hai Hawa-KHwah Saba Apne Chaman Ka is written by Mamnoon Nizamuddin. Read famous Poem Kab Gul Hai Hawa-KHwah Saba Apne Chaman Ka for youth and Student by Mamnoon Nizamuddin. Free Download Kab Gul Hai Hawa-KHwah Saba Apne Chaman Ka in PDF.