Jo Baad-e-marg Bhi Dil Ko Rahi Kanar Mein Ja
jo baad-e-marg bhi dil ko rahi kanar mein ja
to so chuka main faraghat se bas mazar mein ja
tamam dard hon malum kuchh nahin ki kahan
tere KHadang ne ki hai tan-e-nazar mein ja
yahi to rizq hai baad-e-fana mera zalim
samajh ke barq-e-sharar-bar KHarzar mein ja
qadam samajh ke tu rakh tishnigan-e-hasrat se
tihi nahin hai Tuk ulfat ki rahguzar mein ja
uThi jo kulfat-e-dil kam ho meri kulfat mein
ghubar jaise ki mil jae hai ghubar mein ja
na ho kahin ki do-sad-KHun-e-KHufta hon bedar
saba jo jae to aahista ku-e-yar mein ja
KHadang-e-ghamza to KHar-shigaf hai us ka
chhupae ji ko koi kaun se hisar mein ja
(453) Peoples Rate This