Har Harf-e-arzu Pe Kare Tha Wo Yar Bahas
har harf-e-arzu pe kare tha wo yar bahas
ek ek baat par thi use shab hazar bahas
lae hai khinch aarzu-e-zaKHm dur se
kaho war par na qatil KHanjar-guzar bahas
hairat-zadon ko mahfil-e-taswir ki tarah
ne hai shiar-e-ramz-o-kinaya na kar-e-bahas
ya zikr-e-dost ya hai zaban par hadis-e-ishq
jun ahl-e-madarsa nahin apna shiar bahas
takrar se dil apna jo manga kaha ki chal
milta hai koi ye na abas bar bar bahas
kije agar gila to taraf-dar yar ho
aap hi lagae mujh se dil-e-be-qarar bahas
'mamnun' mujhe nasihat-e-saib ye yaad hai
ta sulh mumkin ast makun zinhaar bahas
(418) Peoples Rate This