Guman Na Kyunki Karun Tujh Pe Dil Churane Ka
guman na kyunki karun tujh pe dil churane ka
jhuka ke aankh sabab kya hai muskurane ka
ye sina hai ye jigar hai ye dil hai bismillah
agar KHayal hai talwar aazmane ka
kisi ke honTh ke milte hi hum tamam hue
maza mila na hamein galiyan bhi khane ka
mujhe ye dard hai malum hukm-e-bulbul bin
na meri KHak pe kar qasd phul lane ka
kiya farefta kah kah ke haal-e-dil us ko
asar fusun se nahin kuchh kam is fasane ka
ghamon ki gar yahi baalidgi hai to aaKHir
dil-e-girafta nahin sine mein samane ka
(423) Peoples Rate This