Nazm
hamare sheron mein maqtal ke istiare hain
hamare ghazlon ne dekha hai kucha-e-qatil
salib-o-dar pe nazmen hamari laTki hain
hamari fikr hai zaKHmi lahu-luhan hai fikr
har ek lafz pareshan har ek misra udas
hum apne sheron ke mafhum par pasheman hain
KHuda kare ki jo aaen hamare baad wo log
hamare fan ki alamat ko samajh na saken
charagh-e-dair-o-haram se kisi ka ghar na jale
na koi phir se hikayat-e-raftagan likkhe
na koi phir se alamat-e-KHun-chakan likkhe
fasil-dar saron ke charagh raqs-e-junun
sarab-e-tishna-labi KHar aabla-pai
darida-pairahani chaak-damani wahshat
sumum, aatish-e-gul, barq, aashiyan, sayyaad
riwayaten ye mere ahd ki alamat hain
alamaten ye mere sher ka muqaddar hain
KHuda kare ki jo aaen hamare baad wo log
hamare fan ki alamat ko samajh na saken
charagh-e-dair-o-haram se kisi ka ghar na jale
na koi phir se hikayat-e-raftagan likkhe
na koi phir se alamat-e-KHun-chakan likkhe
(570) Peoples Rate This