Tark-e-mohabbat Apni KHata Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai
tark-e-mohabbat apni KHata ho aisa bhi ho sakta hai
wo ab bhi paband-e-wafa ho aisa bhi ho sakta hai
darwaze par aahaT sun kar us ki taraf kyun dhyan gaya
aane wali sirf hawa ho aisa bhi ho sakta hai
haal-e-pareshan sun kar mera aankh mein us ki aansu hain
main ne us se jhuT kaha ho aisa bhi ho sakta hai
arz-e-talab par us ki chup se zahir hai inkar magar
shayad wo kuchh soch raha ho aisa bhi ho sakta hai
hadd-e-nazar tak sirf dhuan tha barq pe kyun ilzam rakhen
aatish-e-gul se bagh jala ho aisa bhi ho sakta hai
KHun bahana us ka shewa hai to sahi 'manzur' magar
hath pe us ke rang-e-hina ho aisa bhi ho sakta hai
(1148) Peoples Rate This