Manzur Lahu Ki Bund Koi Ab Tak Na Meri Bekar Giri

'manzur' lahu ki bund koi ab tak na meri bekar giri

ya rang-e-hina ban kar chamki ya pesh-e-sailb-o-dar giri

auron pe na jaane kya guzri is tegh-o-tabar ke mausam mein

hum sar to bacha lae lekin dastar sar-e-bazar giri

jo tir andhere se the chale wo sarhad-e-jaan ko chhu na sake

chalta tha main jis ke sae mein gardan pe wahi talwar giri

kya jaaniye kaisi thi wo hawa chaunka na shajar patta na hila

baiTha tha main jis ke sae mein 'manzur' wahi diwar giri

(400) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzur Lahu Ki Bund Koi Ab Tak Na Meri Bekar Giri In English By Famous Poet Malikzada Manzoor Ahmad. Manzur Lahu Ki Bund Koi Ab Tak Na Meri Bekar Giri is written by Malikzada Manzoor Ahmad. Read famous Poem Manzur Lahu Ki Bund Koi Ab Tak Na Meri Bekar Giri for youth and Student by Malikzada Manzoor Ahmad. Free Download Manzur Lahu Ki Bund Koi Ab Tak Na Meri Bekar Giri in PDF.